• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh To Batao Shair-E-Bedar Kya Hua

Kuchh To Batao Shair-E-Bedar Kya Hua

obaidullah-aleem

kuchh to batao shair-e-bedar kya hua

kis ki talash hai tumhen aur kaun kho gaya

ankhon men raushni bhi hai viraniyan bhi hain

ik chand saath saath hai ik chand gah gaya

tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz

mujh men to zindagi ka koi hausla na tha

tum hi kaho ki ho bhi sakega mira ilaaj

agli mohabbaton ke mire zakhm-ashna

jhanka hai main ne khalvat-e-jan men nigar-e-jan

koi nahin hai koi nahin hai tire siva

vo aur tha koi jise dekha hai bazm men

gar mujh ko dhundna hai miri khalvaton men aa

ai mere khvab aa miri ankhon ko rang de

ai meri raushni tu mujhe rasta dikha

ab aa bhi ja ki subh se pahle hi bujh na jaun

ai mere aftab bahut tez hai hava

ya-rab ata ho zakhm koi sher-afrin

ik umr ho gai ki mira dil nahin dukha

vo daur aa gaya hai ki ab sahiban-e-dard

jo khvab dekhte hain vahi khvab na-rasa

daman bane to rang hua dastaras se duur

mauj-e-hava hue to hai khushbu gurez-pa

likkhen bhi kya ki ab koi ahval-e-dil nahin

chikhen bhi kya ki ab koi sunta nahin sada

ankhon men kuchh nahin hai ba-juz khak-e-rahguzar

siine men kuchh nahin hai ba-juz nala-o-nava

pahchan lo hamen ki tumhari sada hain ham

sun lo ki phir na aenge ham se ghazal-sara

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mil Kar Juda Hue to Na Soya Karenge Hum

ismail-merathi

Ab Qaum Ki Jo Rasm Hai So Ul-Julul

miyan-dad-khan-sayyah

Jab Se dekha Hai Bana Gosh-E-Qamar Mein Tinka

poet

Shab Ke Hain Mah Mehr Hain din Ke

hatim-ali-mehr

Ajab Hai Mehr Se Us Shokh Ki Visal Ka Waqt

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet