udasiyan sahar-o-sham ki nahin achchhi
‘jigar’ ye ḳhu dil-e-nakam ki nahin achchhi
chhalak chale na kahin zarf ai dil-e-maḳhmur
bahut havas mai-e-gulfam ki nahin achchhi
unhin ko karti hai be-ḳhanuman jo be-ghar hain
ravish ye gardish-e-ayyam ki nahin achchhi
kisi ki shan-e-taghaful se hai vaqar-e-naz
umiid nama-o-paigham ki nahin achchhi
siva.e kashmakash-o-iztirab kya hasil
kured qismat o anjam ki nahin achchhi
dil-e-hazin na kahin ishq bad-guman ho jaa.e
talash rahat-o-aram ki nahin achchhi
kahin ye phulon ke iima se hon na murgh-e-asir
shikayaten qafas-o-dam ki nahin achchhi
‘jigar’ ye yaad kahin zahr ho na jaa.e tumhen
jo raT lagi hai kisi naam ki nahin achchhi
Leave a Reply