main yunhi TuTta bikharta huun
roz jiita huun roz marta huun
dasht-o-dariya ghubar karta huun
main hava huun kahan Thaharta huun
pichhe muḌ kar kabhi nahin dekha
main havaon se baat karta huun
barg-o-gul titliyan salamat sab
sar qalam ḳhushbuon ke karta huun
roz naqsha bana ke duniya ka
rang-e-amn-o-sukun bharta huun
dil ki rahon men qainchiyan rakh diin
teri yadon ke par katarta huun
logo har-su salib-o-dar rakho
asman se abhi utarta huun
chandni saa.e raqs taj-mahal
ḳhvab ankhon men rome bharta huun
rasta paanv pakaḌne lagta hai
jab tire dil se main guzarta huun
Leave a Reply