tere siva kisi ki tamanna karunga main
aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main
go gham aziiz hai mujhe tere firaq ka
phir bhi is imtihan ka shikva karunga main
ankhon ko ashk o ḳhuun bhi faraham karunga main
dil ke liye bhi dard muhayya karunga main
rahat bhi ranj, ranj bhi rahat ho jab to phir
kya etibar-e-ḳhvahish-e-duniya karunga main
rakkha hai kya jahan men ye aur baat hai
ye aur baat hai ki taqaza karunga main
ye rahguzar ki ja-e-qayam-e-qarar thi
ya.ani ab us gali se bhi guzra karunga main
ya.ani kuchh is tarah ki tujhe bhi ḳhabar na ho
is ehtiyat se tujhe dekha karunga main
hai dekhne ki chiiz to ye iltifat bhi
dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main
hairan o dil-shikasta huun is hal-e-zar par
kab janta tha apna tamasha karunga main
haan khinch lunga vaqt ki zanjir paanv se
ab ke bahar aai to aisa karunga main
Leave a Reply