phuul bhare hain daman daman
lekin viran viran gulshan
ishq ki masti dil ki dhaḌkan
ek javani do do joban
dekhe hain sab shaiḳh-o-barahman
naam baḌe aur chhoTe darshan
kaun kisi ke dukh ka sathi
apne aansu apna daman
zabt ne jab bhi honT siye hain
tez hui hai dil ki dhaḌkan
gora mukhḌa kaali zulfen
sub.h ke dar par shaam ki chilman
gulshan ke matvale hain ham
phuul bhi gulshan ḳhaar bhi gulshan
aql ki baten karne vaale
kya samjhenge dil ki dhaḌkan
husn aur ishq men farq yahi hai
ek hai shisha ek hai aahan
tan ke ujle man ke maile
ye hain vaa.iz ji ke lachchhan
aql ne aksar dil ko kosa
naach na jaane TeḌha angan
tan-man tum par vaar diye hain
us ka sab kuchh jis ka tan-man
tera daman chhoḌun kaise
meri duniya tera daman
ruuTh ke jaane vaale aḳhir
apnon se kyuun itni an-ban
teri yaad ka nuur tha varna
hijr ki zulmat aur ho raushan
aaj ‘sahar’ aana hai kis ko
raushan hai kyuun mera angan
Leave a Reply