sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
vagarna thak ke kahin to thahar hi jaana tha
jo iztirab ka mausam guzar aaen hain
vo jante hain ki vahshat ka kya zamana tha
vo jin ko shikva tha auron se zulm sahne ka
khud un ka apna bhi andaz jarehana tha
bahut dinon se mujhe intizar-e-shab bhi nahin
vo rut guzar gai har khvab jab suhana tha
kab us ki fath ki khvahish ko jiit sakti thi
main vo fariq huun jis ko ki haar jaana tha
Leave a Reply