Rais Ashkon Se Daman Ko Bhigo Lete to Achchha Tha

‘ra.īs’ ashkoñ se dāman ko bhigo lete to achchhā thā

huzūr-e-dost kuchh gustāḳh ho lete to achchhā thā

judā.ī meñ ye shart-e-zabt-e-ġham to maar Dālegī

ham un ke sāmne kuchh der ro lete to achchhā thā

bahāroñ se nahīñ jin ko tavaqqo.a lāla-o-gul kī

vo apne vāste kāñTe hī bo lete to achchhā thā

abhī to nisf shab hai intizār-e-sub.h-e-nau kaisā

dil-e-bedār ham kuchh der so lete to achchhā thā

qalam-rau dād-e-ḳhūn-o-ashk likhne se jhijaktā hai

qalam ko ashk-o-ḳhūñ hī meñ Dubo lete to achchhā thā

faqat ik girya-e-shabnam kifāyat kar nahīñ saktā

chaman vaale kabhī jī-bhar ke ro lete to achchhā thā

surāġh-e-kārvāñ tak kho gayā ab sochte ye haiñ

ki gard-e-kārvāñ ke saath ho lete to achchhā thā

Leave a Comment