kuchh na hone ki haqiqat nahin jaani ya.ani
ham har isbat pe karte rahe ya.ani ya.ani
tah bhi ik sat.h ki ta.abir hai sunte the yahi
sat.h par tairne valon ki zabani ya.ani
mil ga.i ḳhaak men buniyad-e-chaman-zar-e-vajud
apni me.araj ko pahunchi hama-dani ya.ani
apne mahmil se nikal aa.e jo mahmil men nahin
vahshat-e-qais ke hain aaj ye ma.ani ya.ani
shor-e-da.ava-e-anal-haq hai ki thamta hi nahin
koi sunta hi nahin meri kahani ya.ani
koi hone se ye kam hai ki hue jaata huun
hai na hona mire hone ki nishani ya.ani
haar samjhe ho jise dhaar hai lamhon ki ‘muhib’
rishta-e-umr hai ik aks-e-ravani ya.ani
Leave a Reply