bata ai zindagi tere parastaron ne kya paaya
uTha kar naaz tere naz-bardaron ne kya paaya
vo kanTe hi sahi kuchh to diya ham ko bayaban ne
magar gulshan se phulon ke talab-garon ne kya paaya
zara ma.alum to kiije ḳhirad par marne valon se
ki Thukra kar junun ko in ziyan-karon ne kya paaya
kaleja tera phaT ja.ega vaa.iz fart-e-hairat se
bata duun main agar tujh ko gunahgaron ne kya paaya
bayaban gham na kar be-faizi-e-abr-e-baharan ka
tira daman hai gar ḳhali to gulzaron ne kya paaya
gham-e-hasti gham-e-janan gham-e-duniya gham-e-dauran
miTa kar mujh ko ‘fazil’ in sitam-garon ne kya paaya
Leave a Reply