tahi-daman barhana-pa ravana ho gaya huun
tabahi chal tire shana-ba-shana ho gaya huun
tiri raftar par qurban ja.un ai taraqqi
main apne ahd men guzra zamana ho gaya huun
mere atraf rahta hai hujum-e-na-muradi
jabin-e-na-rasa men astana ho gaya huun
hava ki taan par gaate hain mujh ko ḳhushk patte
main har TuuTe hue dil ka tarana ho gaya huun
miri miTTi men ab meri haqiqat dhundhti hai
main duniya ke liye jab se fasana ho gaya huun
mira bhi tazkira hone laga danishvaron men
to kya phir main bhi ‘azim’ kuchh divana ho gaya huun
Leave a Reply