naqsh tha aur naam tha hi nahin
ya.ani main itna aam tha hi nahin
ḳhvab se kaam tha vahan ki jahan
ḳhvab ka koi kaam tha hi nahin
sab ḳhabar karne valon par afsos
ye ḳhabar ka maqam tha hi nahin
tah-ba-tah intiqam tha sar-e-ḳhak
inhidam inhidam tha hi nahin
ham ne tauhin ki qayam kiya
is safar men qayam tha hi nahin
ab to hai par hamare vaqton men
shisha-e-sub.h-o-sham tha hi nahin
vo to ham ne kaha ki tum bhi ho
varna koi nizam tha hi nahin
Leave a Reply