tiri tegh abru ki tuk samne kar dekhen to
bachche khurshid bhi rakh munh pe sipar dekhen to
mere khurshid-laqa diid ki tuk rukhsat de
tere didar ko phir ek nazar dekhen to
tegh tole hue kandhe pe jo aaya hai savar
o sajile mire ghode se utar dekhen to
mar gaya jo use kahte hain hua aaj visal
ji racha ziist se is hijr men mar dekhen to
bah chuka khana-e-dil aankh tak aa pahunchi sail
roe ja aur bhi ai dida-e-tar dekhen to
aa ke ankhon ka shabistan mira raushan kar de
vo din aata hai kab ai nur-e-basar dekhen to
hai masal ghussa utar jaata hai paanv pe gire
qadmon par us ke bhala sar ko bhi dhar dekhen to
din bahut biit gae galiyan hain suuni tujh bin
jaani ban-than zari aa jaao idhar dekhen to
sab kahen guzri pa guzri na ku-e-dil-bar men
rahe jaan ‘azfari’ is se bhi guzar dekhen to
Leave a Reply