bazm sanvarun ghazlen ga.un
jiine ke andaz bana.un
har dam ro ro ḳhuun ke aansu
kyuun ankhon ki aab ganva.un
kab tak dal ke bahkane par
taare gin gin raat bita.un
in ko mera dhyan nahin hai
main kyuun apni jaan ganva.un
mera gham kis ne khaya hai
main kyuun duniya ka gham kha.un
sab se tark-e-ta.alluq kar luun
ḳhud se rasm-o-rah baḌha.un
marne valon ko marne duun
jiine valon ko apna.un
har mayyat ke sirhane ‘shohrat’
naghme chheḌun jashn mana.un
Leave a Reply