mausam to badalta hai badal jaae to kya ho
phulon se jo khushbu bhi nikal jaae to kya ho
jaata huun kadi dhuup men parchhain ke hamrah
sahra men ye parchhain bhi jal jaae to kya ho
ye mashvira-e-zabt bhi taslim hai lekin
aansu miri ankhon se nikal jaae to kya ho
mahtab sahara hai shab-e-zist ka ‘fakhir’
ye zard sa mahtab bhi dhal jaae to kya ho