• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum to Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log

Hum to Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log

poet

ham to hon dil se duur rahen paas aur log

sunghen gul-e-ezar ki bu-bas aur log

vaa.iz hamen Dara na vafur-e-gunah se

us ke karam se hote hain be-as aur log

sauda-e-ishq yaan to hai sar men bhara hua

nam-e-junun se karte hain visvas aur log

azad-gan-e-ishq har ik haal men hain shaad

honge asir-o-ranj-o-gham-o-yas aur log

hain ser boriya-e-tavakkul ke faqa-mast

hote hain muztarib dam-e-iflas aur log

yaan hai faqat havas dur-e-dandan ke diid ki

khate hain us ke danton pe almas aur log

sanjog ek apna tumhara azal se hai

puchhen brahmanon se buto raas aur log

uTThe fana o ek na ik kya ba.iid hai

ab baiThne lage hain tire paas aur log

us ab-e-la.al par kabhi ham bhi muhit the

lab chuus kar bujha.e hain ab pyaas aur log

ham to na ghar men aap ke dam-bhar Thaharne paa.en

roz aa.en jaa.en surat-e-anfas aur log

apne nasib men to na ho ab-e-ḳhizr-e-lab

sairab hon ba-surat-e-ilyas aur log

divan men mire nahin bharti ke aise sher

bharte hain jaise safha-e-qirtas aur log

vo bevafa karega miri qadr kya ‘qalaq’

karte hain apne ashiqon ka paas aur log

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Raat Ki Raat paDaw Ka Mela Coach Ki Dhul Sawere

Sufi

Tawazun

poet

Dil Ko Bacha Ke Lae the Sare Jahan Se Hum

adil-mansuri

Aashiq The Shahr Mein Jo Purane Sharab Ke

poet

Mausam-E-Gul Mein Hain diwanon Ke Bazar Kai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet