• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yahan to Shahr Se Diwar-O-Dar Hi Ghaeb Hain

Yahan to Shahr Se Diwar-O-Dar Hi Ghaeb Hain

yahan to shahr se divar-o-dar hi gha.eb hain

chhaton ke ba.ad makanon ko le uḌi hai hava

tamam shahr tha saḌkon pe aaj raat ga.e

suna hai phir se javanon ko le uḌi hai hava

safar hai raat ka sahra se vapsi kaisi

tumhare saare nishanon ko le uḌi hai hava

chalegi vaqt ki andhi to kis ko baḳhshegi

na jaane kitne zamanon ko le uḌi hai hava

raha na ab vo lab-e-ju raha na mai-ḳhana

hamare saare Thikanon ko le uḌi hai hava

chalo vo vasl ka va.ada bhi kal-adam Thahra

tumhare saare bahanon ko le uḌi hai hava

hava ke dosh pe uḌte to hain parinde par

nazar ke samne danon ko le uḌi hai hava

paḌe hain tiir yahan ghaziyon ke tarkash men

andheri shab men kamanon ko le uḌi hai hava

ghalat the saare vo mizan fareb taḳhmine

hamare saare gumanon ko le uḌi hai hava

rakhe the kis ne vo auraq taqche pe ‘ayaz’

vo chahaton ke fasanon ko le uḌi hai hava

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kabhi Baalon Ko Suljhaya to Hota

akhtar-ansari

Mere Rukh Se Sukun Tapakta Hai

Wo Kahin Tha Kahin Dikhai Diya

Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain

Barg-E-Gul shaKH-E-Hijr Ka Kar De

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet