aap ne jab kaha ki khush huun main
mujh ko aisa laga ki khush huun main
aaina dekhta huun hairat se
khush hai ye aaina ki khush huun main
laakh samjha raha huun main dil ko
dil nahin manta ki khush huun main
jaane kya kah raha tha vo mujh se
main ne bhi kah diya ki khush huun main
dil to ye chahta tha vo bhi kahe
main hi kahta raha ki khush huun main
khush huun main jis ke laut aane se
vo nahin janta ki khush huun main
ab vo tujh se agar mira puchhe
tu bas itna bata ki khush huun main
aur kya chiiz hai khushi ‘momin’
khush hai mujh se khuda ki khush huun main
Leave a Reply