mar rahte hain dar par tire do-char hamesha
hai jaur-o-jafa tujh ko saza-var hamesha
ashiq tira marne ko hai tayyar hamesha
dikhla na mizha khanjar-e-khun-khar hamesha
ik chhed nikale hai nai yaar hamesha
rahta hai mire dar-pae-azar hamesha
allah salamat rakhe tere lab-e-shirin
sunvaya kare baten mazedar hamesha
hai dar se tire alam-e-bala tah-o-bala
latke hai tiri arsh pe talvar hamesha
juun halqa-e-dar dar pe tire subh se ta-subh
rahta hai tira talib-e-didar hamesha
izhar karun jis se main ahval ko apne
ahval-e-tabah us ka rahe yaar hamesha
Leave a Reply