chhoTa-moTa Ishq Karunga

chhoTā-moTā ishq karūñgā

lekin pakkā ishq karūñgā

sīdhī-sādī laḌkī hai vo

sīdhā-sāda ishq karūñgā

tujh se jhuuT nahīñ bolūñgā

bilkul sachchā ishq karūñgā

pahlā pahlā vasl hai us se

pahlā pahlā ishq karūñgā

us kī qasmeñ khā.ūñgā maiñ

ya.anī jhūTā ishq karūñgā

ek faqīr se maiñ ne pūchhā

baabā kyā maiñ ishq karūñgāscript>

Leave a Comment