ahl-e-tufan aao dil-valon ka afsana kahen
mauj ko gesu bhanvar ko chashm-e-janana kahen
daar par chadh kar lagaen nara-e-zulf-e-sanam
sab hamen ba-hosh samjhen chahe divana kahen
yar-e-nukta-dan kidhar hai phir chalen us ke huzur
zindagi ko dil kahen aur dil ko nazrana kahen
thamen us but ki kalai aur kahen is ko junun
chuum len munh aur ise andaz-e-rindana kahen
surkhi-e-mai kam thi main ne chhu liye saaqi ke hont
sar jhuka hai jo bhi ab arbab-e-mai-khana kahen
tishnagi hi tishnagi hai kis ko kahiye mai-kada
lab hi lab ham ne to dekhe kis ko paimana kahen
para-e-dil hai vatan ki sarzamin mushkil ye hai
shahr ko viran ya is dil ko virana kahen
ai rukh-e-zeba bata de aur abhi ham kab talak
tirgi ko sham-e-tanhai ko parvana kahen
aarzu hi rah gai ‘majruh’ kahte ham kabhi
ik ghazal aisi jise tasvir-e-janana kahen
Leave a Reply