har aks ḳhud ek aa.ina hai
har saaya zaban se bolta hai
ehsas ki talḳhiyon men Dhal kar
dil dard ka chand ban gaya hai
sunta ho koi to har kali ke
khilne men shikast ki sada hai
yuun aati hai teri yaad ab to
jaise koi duur ki sada hai
goya the to koi bhi nahin tha
ab chup hain to shahr dekhta hai
aajiz hai ajal bhi us ke aage
jo misl-e-saba bikhar gaya hai
tu silsila-e-saval ban kar
kyuun zehnon ke ban men gunjta hai
qurbat tiri kis ko raas aa.i
a.ine men aks kanpta hai
jiite hain ravayatan ‘raza’ ham
is daur men zindagi saza hai
Leave a Reply