ik andhi dauḌ thi ukta gaya tha
main ḳhud hi saf se bahar aa gaya tha
na dil bazar men us ka laga phir
jise ghar ka pata yaad aa gaya tha
faqat ab ret ki chadar bichhi hai
suna hai us taraf dariya gaya tha
usi ne raah dikhla.i jahan ko
jo apni raah par tanha gaya tha
mujhe jalna paḌa majbur ho kar
andhera is qadar gahra gaya tha
koi tasvir ashkon se bana kar
fasil-e-shahr par chipka gaya tha
samajh aḳhir men aaya vahima tha
jo kuchh ab tak suna samjha gaya tha
Leave a Reply