kitab-e-zindagi ki jadvalon men rang ham se hai
sahifa aarzu ka sar-ba-sar arzhang ham se hai
dil-e-shabnam pe rakkha hai hamin ne dast-e-gham-ḳhvari
darun-bini harif-e-afsar-o-aurang ham se hai
hamare hauslon se nuur le le gulsitan jab tak
sahar ka qafila pichhe ka.i farsang ham se hai
ulajhta hai ba-zahir har chaman se har ḳharabe se
magar dar-parda tufan-e-bala ki jang ham se hai
tasadum ki bhi jur.at TuTne ki bhi hamen himmat
vaqar-e-shisha ham se hai ayar-e-sang ham se hai
ḳhizan men bhi raha ‘kausar’ shagufta hausla apna
bahar-e-naghma saz-e-dard ka ahang ham se hai
Leave a Reply