zakhm-e-dil ham dikha nahin sakte
dil kisi ka dukha nahin sakte
vo yahan tak jo aa nahin sakte
kya mujhe bhi bula nahin sakte
vaada bhi hai to hai qayamat ka
jis ko ham aazma nahin sakte
aap bhi bahr-e-ashk hain goya
aag dil ki bujha nahin sakte
un se ummid-e-vasl ai tauba
vo to surat dikha nahin sakte
un ko ghunghat uthane men kya uzr
hosh men ham jo aa nahin sakte
mangte maut ki dua lekin
haath dil se utha nahin sakte
un ko dava-e-yusufi ‘asi’
khvab men bhi jo aa nahin sakte
Leave a Reply