• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Parde Parde Mein Bahut Mujh Pe Tere War Chale

Parde Parde Mein Bahut Mujh Pe Tere War Chale

mubarak-azimabadi

parde parde men bahut mujh pe tire vaar chale

saaf ab halq pe khanjar chale talvar chale

duri-e-manzil-e-maqsad koi ham se puchhe

baithe sau baar ham us raah men sau baar chale

kaun pamal hua us ki bala dekhti hai

dekhta apni hi jo shokhi-e-raftar chale

be-piye chalta hai yuun jhuum ke vo mast-e-shabab

jis tarah pi ke koi rind-e-qadah-khvar chale

chashm o abru ki ye sazish jigar o dil ko naved

ek ka tiir chale ek ki talvar chale

kuchh is andaz se sayyad ne azad kiya

jo chale chhut ke qafas se vo giraftar chale

jis ko rahna ho rahe qaidi-e-zindan ho kar

ham to ai ham-nafaso phand ke divar chale

phir ‘mubarak’ vahi ghanghor ghataen aaiin

janib-e-mai-kada phir rind-e-qadah-khvar chale

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Jo Rishta Hai Mera miTTi Se

aijaz-asad

diwar-e-Takalluf Hai To Mismar Karo Na

fahmida-riaz

Ek Aurat Ki Hansi

waseem-barelvi

Mujhe Bujha de Mera daur Mukhtasar Kar de

KHat Bahut Uske paDhe Hain Kabhi Dekha Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet