itni arzan mai-e-gulfam na thi
jab vo maḳhmur nazar aam na thi
tujh se vabasta hai meri qismat
ye ḳhabar gardish-e-ayyam na thi
yaad aate hain vo lamhat ki jab
zindagi sho.ala-bar-andam na thi
thi jahan manzil-e-irfan-o-yaqin
duur tak sarhad-e-auham na thi
kya hua sham.a ko ye pichhle pahar
muzmahil itni sar-e-sham na thi
haan bata chashm-e-haqiqat-agah
zindagi kya thi gar in.aam na thi
Leave a Reply