main ki apne hi as-pas nahin
so bhi ab mujh ko teri aas nahin
zindagi ke bane nahin imkan
maut ka bhi koi qayas nahin
qahr par qahr mujh pe TuuTe hain
kya sitam hai ki main udaas nahin
chahta huun ki tujh ko yaad rakhun
par ye chahat bhi utni ḳhaas nahin
rah ke duniya men duniya valon se
kahta phirta huun duniya raas nahin
meri ḳhvahish hai dariya paas aa.e
aur main kah duun ki mujh ko pyaas nahin
Leave a Reply