mere gale se aan ke pyara jo phir lage
ye abr ye bahar mujhe khub-tar lage
bin dekhe us pyare ke ankhon ne apna haal
aisa kiya hai jaise ki baran ka jhad lage
mat is ada o naaz se gulshan men kar guzar
darta huun main mabada kisi ki nazar lage
ho chaar chashm kaun sake aise yaar se
ankhon ke dekhte hi piya ki khatar lage
har lail o har nahar tiri zat-e-pak se
kahta hai ‘aftab’ dua-e-sahar lage
Leave a Reply