• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wahan Mahfil Na Sajai Jahan Khalwat Nahin Ki

Wahan Mahfil Na Sajai Jahan Khalwat Nahin Ki

saleem-kausar

vahan mahfil na sajai jahan khalvat nahin ki

us ko socha hi nahin jis se mohabbat nahin ki

ab ke bhi tere liye jaan se guzar jaenge ham

ham ne pahle bhi mohabbat men siyasat nahin ki

tum se kya vada-khilafi ki shikayat karte

tum ne to laut ke aane ki bhi zahmat nahin ki

dhadkanen siine se ankhon men simat aai thiin

vo bhi khamosh tha ham ne bhi vazahat nahin ki

raat ko raat hi is baar kaha hai ham ne

ham ne is baar bhi tauhin-e-adalat nahin ki

gard-e-aina hatai hai ki sachchai khule

varna tum jante ho ham ne baghavat nahin ki

bas hamen ishq ki ashufta-sari khinchti hai

rizq ke vaste ham ne kabhi hijrat nahin ki

aa zara dekh len duniya ko bhi kis haal men hai

kai din ho gae dushman ki ziyarat nahin ki

tum ne sab kuchh kiya insan ki izzat nahin ki

kya hua vaqt ne jo tum se riayat nahin ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sair-E-Chaman Hai Aur Wo Gul-Ru Kanar Mein

Mere Bachne Ki aaKHiri Surat

bashir-badr

Be-Tahasha Si La-Ubaali Hansi

Ye Furqaton Mein Lamha-E-Visal Kaise Aa Gaya

afsar-merathi

Mana Wo Chhupne Wala Har dil Mein Chhup Jaega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet