• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bigdi Baat Banana Mushkil Badi Baat Banae Kaun

Bigdi Baat Banana Mushkil Badi Baat Banae Kaun

kishwar-naheed

bigdi baat banana mushkil bigdi baat banae kaun

kunj-e-tamanna virana hai aa kar phuul khilae kaun

tan ki daulat man ki daulat sab khvabon ki baten hain

nau man tel na ho to ghar men radha ko nachvae kaun

apna gham ab khud hi utha le varna rusvai hogi

tera bhed chhupa kar dil men nahaq bojh uthae kaun

chalti gaadi naam ka rishta kya mohan kya radha aaj

ban ke sanvar ke raas racha ke mohan aaj manae kaun

sagar paar ki khabren dekhe ham-sae ka pata nahin

aaj ka insan aalam fazil us ko ab samjhae kaun

na-ummidi nam-e-tamanna apna muqaddar hijr-e-musalsal

dard ke kharistan men aa ke daman-e-dil uljhae kaun

raat bhi kaali chadar odhe aa pahunchi hai ziine men

mehndi lagae baithi soche lat uljhi suljhae kaun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tera Niyaz-Mand Hun Niyaz Ke Baghair Bhi

obaidullah-aleem

Kuchh Ishq Tha Kuchh Majburi Thi So Maine Jiwan War diya

gulzar

diary

Bhejta Hun Har Roz Main Jis Ko KHwab Koi an-Dekha Sa

Ek Jadugar Hai Aankhon Ki Basti Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet