• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tu Mujhe Kis Ke Banane Ko miTa baiTha Hai

Tu Mujhe Kis Ke Banane Ko miTa baiTha Hai

tu mujhe kis ke banane ko miTa baiTha hai

main koi gham to nahin tha jise kha baiTha hai

baat kuchh ḳhaak nahin thi jo uḌaa.i tu ne

tiir kuchh aib nahin tha jo laga baiTha hai

mel kuchh khel nahin tha jo bigaḌa tu ne

rabt kuchh rasm nahin tha jo ghaTa baiTha hai

aankh kuchh baat nahin thi jo jhuka.i tu ne

ruḳh koi raaz nahin tha jo chhupa baiTha hai

naam arman nahin tha jo nikala tu ne

ishq afvah nahin tha jo uḌa baiTha hai

laag kuchh aag nahin thi jo laga di tu ne

dil koi ghar to nahin tha jo jala baiTha hai

rasm kavish to nahin thi jo miTa di tu ne

haath parda to nahin tha jo uTha baiTha hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Muskurane Mein Din Guzarta Hai

Ranj-O-Alam Se Mohabbat Hai

Bas Gaya Jab Se Yar Aankhon Mein

poet

Kahin Sukun Na Mila Dil Ko Bazm-E-Yar Ke Baad

poet

Aankh Tikti Na Thi Chehre Pe Hasin Aisa Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet