• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Koi Batlae Ki Ye Turfa Tamasha Kyun Hai

Koi Batlae Ki Ye Turfa Tamasha Kyun Hai

koi batla.e ki ye turfa tamasha kyuun hai

aadmi bhiiḌ men rahte hue tanha kyuun hai

paanv phaila.e hue gham ka andhera kyuun hai

aa ga.i sub.h-e-tamanna to phir aisa kyuun hai

main to ik zarra-e-nachiz huun aur kuchh bhi nahin

vo jo suraj hai mire naam se jalta kyuun hai

tujh ko nisbat hai agar nam-e-barahim se kuchh

aag ko phuul samajh aag se Darta kyuun hai

kaun sa ahd hai jis ahd men ham jiite hain

dasht to dasht hai dariya yahan pyasa kyuun hai

pi ke bahkega to rusva.i-e-mahfil hogi

vo jo kam-zarf hai maiḳhane men aaya kyuun hai

koi aaseb hai ya sirf nigahon ka fareb

ek saaya mujhe har su nazar aata kyuun hai

yaad kis ki mah-o-ḳhurshid liye aa.i hai

shab-e-tarik men aaj itna ujala kyuun hai

bad-havasi ka ye aalam kabhi pahle to na tha

hashr se pahle hi ye hashr sa barpa kyuun hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Parinde Khet Mein Ab Tak paDaw Dale Hain

Mazhab Ki Kitabon Mein Bhi Irshad Hua Main

poet

Bad-Guman Aaj Sari Mahfil Hai

shabnam-shakeel

Na Puchh dekh Ke Kitna Malal Hota Hai

Dil Mein Is Ka KHayal Kyun Aaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet