hamare dil ka na dar khatkhata pareshani
hazar gham hain yahan laut ja pareshani
main apne aap se uljhi hui huun muddat se
mazid aa ke na uljhan badha pareshani
kisi bhi taur na khatir men laungi tujh ko
mujhe na apne ye tevar dikha pareshani
main apna dard suna aai huun darakhton ko
mujhi ko kyuun rahe lahaq sada pareshani
ajab savar hai vahshat so mujh se bach ke guzar
main noch dalungi chehra tira pareshani
Leave a Reply