gardishon se yuun ubhar jaane ko ji chahta hai
shaam se pahle hi ghar jaane ko ji chahta hai
tum ko rakhna hai rakho tark-e-ta.alluq ka bharam
mera va.ade se mukar jaane ko ji chahta hai
mulk-o-maz.hab ke qavanin to sar ankhon par
ishq men had se guzar jaane ko ji chahta hai
farsh-e-duniya pe main muddat se jiya huun ab to
chand-taron se guzar jaane ko ji chahta hai
baad marne ke mujhe yaad rakhe ye duniya
kaam kuchh aise bhi kar jaane ko ji chahta hai
zindagi di hai usi ne vahi marega magar
in dinon yuun hai ki mar jaane ko ji chahta hai
bin bulava main kabhi ‘nazr’ na jaata huun kahin
bazm hai un ki magar jaane ko ji chahta hai
Leave a Reply