TuuTa tilism-e-vaqt to kya dekhta huun main
ab tak usi jagah pe akela khaḌa huun main
ye kashmakash alag hai ki kis kashmakash men huun
aata nahin samajh men bahut sochta huun main
main ahl to nahin huun ki dekhe koi magar
duniya mujhe bhi dekh tira aa.ina huun main
akasr ghurur-e-fikr jab utra dimagh se
main dang rah gaya ki ye kya likh gaya huun main
mera kalam vah.i nahin hai to phir mujhe
ye zo.am kyuun na ho ki ḳhud apna ḳhuda huun main
mujh se nahin use mire farda se hai umiid
manzil se koi aur faqat rasta huun main
kya fa.eda mujhe jo palaT kar javab duun
apne liye kahan huun bura ya bhala huun main
ghafil ab aur kya huun kisi se ki umr bhar
avargi ki god men sota raha huun main
kya ye jagah hai jis ki tamanna men aaj tak
din raat shahr shahr bhaTakta phira huun main
mash.al-ba-dast ghumte guzri hai ek umr
ab kis ke intizar men Thahra hua huun main
Leave a Reply