
Shadab Anjum
shiddat-e-dard ko kuchh aur baḌha sakta hai
qaid-e-tanha.i ka gham aap ko kha sakta hai
muntazir rahta nahin hai vo kisi lamhe ka
gham ka badal to kisi vaqt bhi chha sakta hai
ya vo qatra hai mira dil jo rahe ankhon men
ya vo dariya hai jo kuuze men sama sakta hai
gham bhulane ko use de duun dilasa lekin
ye dilasa use gham yaad dila sakta hai
dost mujh ko jo banata hai gharaz ki ḳhatir
vaqt par haath vo dushman se mila sakta hai
jashn ḳhushiyon ka manata hi nahin hai jo kabhi
ain mumkin hai vo har dard chhupa sakta hai
gardan-e-amn pe dahshat ki chhuri hai ‘anjum’
kaun aise men phir avaz uTha sakta hai

Leave a Reply