• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Labaalab Kar de Ai Saqi Hai Khaali Mera Paimana

Labaalab Kar de Ai Saqi Hai Khaali Mera Paimana

wajid-ali-shah-akhtar

labalab kar de ai saaqi hai khali mera paimana

salamat daur-e-gardun tak ye shisha aur ye mai-khana

na puchho naam mujh vahshat-zada ka dasht-e-furqat men

sidi saudai majnun mast be-khud zar-o-divana

mujhe mushrik na samjho main muvahhid huun zamane men

tasavir-e-khayali se bhara hai mera but-khana

hua matla jo mushrik men to maghrib men hua maqta

liye phirte hain ham dosh-e-saba par bait ka khana

urus-e-fikr meri aur dulhe se na zam hogi

faqiri ki milegi bu jo joda hoga shahana

bhala lahj-o-lahja istada kya bayan hoga

qayamat tak to suniye baith kar ulfat ka afsana

zaifi men bhi lipti hai bala-e-shaeri mujh se

na chutegi kabhi ‘akhtar’ qalam se mashq-e-tiflana

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Baqi Hai Ummid Zara Si

Kuchh Log Ji Rahe Hain KHuda Ke Baghair Bhi

poet

Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-E-Mah Aap

Sufi

Je Tun Aap Rasul Kahawe

Machlenge Un Ke Aane Pe Jazbaat sainkaDon

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet