vo ḳhauf-e-jan tha ki lab kholna gavara na tha
sada.en sahmi kuchh aisi suḳhan ka yaara na tha
tamam apne para.e kaTe kaTe se rahe
chhuri jo chamki to us ne kise pukara na tha
ruḳh-e-kaman tha udhar tiir ka nishana idhar
hamara dost to tha aur magar hamara na tha
rafu-talab nazar aata hai dekhiye jis ko
libas-e-jan to kabhi itna paara paara na tha
ḳhuda kare ki rahe mehrban sada tum par
azizo vaqt ki ik lamha bhi hamara na tha
uḌanen bharte parindon ke par katar Dalen
nazar ke samne aisa kabhi nazara na tha
hai duur hadd-e-nazar se to kya qayamat hai
hamare paas tha jab tak vo itna pyara na tha
Leave a Reply