luuTa hai mujhe us ki har ada ne
andaz ne naaz ne haya ne
donon ne kiya hai mujh ko rusva
kuchh dard ne aur kuchh dava ne
beja hai tiri jafa ka shikva
maara mujh ko miri vafa ne
poshida nahin tumhari chalen
kuchh mujh se kaha hai naqsh-e-pa ne
kyuun jaur-kashan-e-asman se
munh pher liya tiri jafa ne
dil ko mayus kar diya hai
begana mizaj-ashna ne
donon ne baḌha.i raunaq-e-husn
shoḳhi ne kabhi kabhi haya ne
ḳhush paate hain mujh ko dost ‘vahshat’
dil ka ahval kaun jaane
Leave a Reply