ankhon ka ḳhuda hi hai ye aansu ki hai gar mauj
kashti bache kyunkar jo rahe aaTh pahar mauj
ai bahr na tu itna umanD chal mire aage
ro ro ke Duba dunga kabhi aa ga.i gar mauj
pahuncha nahin gar tera qadam ta-lab-e-dariya
sahil se paTak sar ko hai kyuun ḳhak-ba-sar mauj
gar alam-e-ab is ka kamin-gah nahin hai
kyuun ta.ir-e-bismil ki tarah maare hai par mauj
uThte nahin sahil ki misal apne makan se
dariya ki tarah marte hain apne hi ghar mauj
kya puchhte ho ashk ke dariya ka talatum
jaati hai nazar jis taraf aati hai nazar mauj
gar nahin hai ‘huzur’ us ko havas diid ki us ke
kyuun khole hababon se hai yuun dida-e-tar mauj
Leave a Reply