ik hijrat ki avazon ka
koi bain sune darvazon ka
zakariyya peḌon ki mat sun
ye jangal hai ḳhamyazon ka
tire sar men soz nahin pyare
tu ahl nahin mire sazon ka
auron ko salahen deta hai
koi Dasa hua andazon ka
mira naḳhra karna banta hai
main ghazi huun tire ghazon ka
ik reḌhi vaala munkir hai
tiri topon aur jahazon ka
Leave a Reply