sahra-e-ḳhayal ka diya huun
virana-e-shab men jal raha huun
saghar ki tarah se chuur ho kar
mahfil men bikhar bikhar gaya huun
apne hi lahu ki raushni men
nairang-e-jahan ko dekhta huun
vo chand huun gardishon men aa kar
ḳhud apni nazar se kaT gaya huun
har ahd hai mere dam se rangin
main naghma-e-saz-e-irtiqa huun
a.ina-sifat nazar se teri
aks-e-dar-o-bam ban gaya huun
ehsas ki talḳhiyon men Dhal kar
main dard ka chand ban gaya huun
sun lo mujhe mai-kada-parasto!
bhigi hui raat ki sada huun
gulzar men rah ke bhi ‘raza’ main
ḳhushbu ke liye taras gaya huun
Leave a Reply