• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Tak Daur-E-Jam Chalega

Jab Tak Daur-E-Jam Chalega

jab tak daur-e-jam chalega

saaqi tera naam chalega

mandir men zunnar chalegi

ka.abe men ehram chalega

jogi ka sanjog nahin to

suufi ka ilham chalega

ziina ziina un zulfon ka

fitna su-e-bam chalega

raste sau e.ajaz karenge

jab vo sarv-andam chalega

sannaTe bisram karenge

basti men kohram chalega

kab tak ye din raat chalenge

kab tak ye ib.ham chalega

kab tak lab ḳhamosh rahenge

kab tak ye hangam chalega

kya meri tadbir chalegi

kya mera iqdam chalega

jab tak sar pe dhuup khaḌi hai

saaya be-aram chalega

koi narm hava ka jhonka

sub.h nahin to shaam chalega

aise kaise baat banegi

aise kaise kaam chalega

duniya ka ye gorakh dhanda

kaise be-auham chalega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dasht Ko DhunDne Niklun to Jazira Nikle

Is Raaz Ke Baatin Tak Pahuncha Hi Nahin Koi

Jaise Kisi Se Wasl Ka Wada Wafa Hua

Us Ek shaKHs Ka Koi Pata Nahin Milta

Be-Niyaz Naghma-E-Duniya Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet