phir talash-e-rahat men dard ka payam aaya
ham jahan se guzre the phir vahi maqam aaya
tere gham ki rahon men vo bhi ik maqam aaya
maut ki tamanna thi maut ka salam aaya
shab guzarne vaalo hasil-e-sahar kya tha
ik payam-e-bedari vo bhi na-tamam aaya
yuun uruuj par aa.i dastan mohabbat ki
dil ka zikr chheḌa tha lab pe un ka naam aaya
ham hi rah ga.e pyase varna bazm-e-saqi men
jis taraf na tha koi us taraf bhi jaam aaya
rafta rafta yaad un ki ban ga.i gham-e-duniya
zindagi ka sarmaya zindagi ke kaam aaya
fasl-e-gul mubarak ho ye bhi dekhte rahiye
kis ne toḌ di zanjir kaun zer-e-dam aaya
mere jaam se ‘shahid’ mai kabhi na chhalki thi
mai-kashon ki mahfil men kaun tishna-kam aaya
Leave a Reply