safar andar safar karte agar tum
kahani muḳhtasar karte agar tum
hamen manzur the saare tamashe
kisi unvan par karte agar tum
siyasat mas.ala koi nahin tha
kisi ke naam par karte agar tum
hamare rabte kaTne lage hain
kahin phir nama-bar karte agar tum
haqiqat khul ke aa jaati nazar men
haqiqat par nazar karte agar tum
Leave a Reply