shikan shikan tiri yaden hain mere bistar ki
ghazal ke sher nahin karvaTen hain shab bhar ki
phir aa.i raat miri saans rukti jaati hai
sarakti aati hain divaren phir mire ghar ki
mujhe to karni paḌi abyari-e-sahra
magar nasib men thi tishnagi samundar ki
ye jam.a o ḳharch zabani hai naqd-e-sher-o-suḳhan
magar yahi to kama.i hai zindagi bhar ki
usi ne baḳhshi hai rangini-e-hayat mujhe
kabhi kabhi to usi ne hayat dubhar ki
rida-e-rang se chhanta hua badan tera
ye chandni ki tamazat hai tere paikar ki
kitab-e-husn hai tu mil khuli kitab ki tarah
yahi kitab to mar mar ke main ne azbar ki
sanam ki aas liye nok-e-tesha bota huun
main kab se fasl ugata raha huun patthar ki
nibah karta huun duniya se is tarah ai ‘shaz’
ki jaise dosti ho astin o ḳhanjar ki
Leave a Reply