• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dhab Dekhe to Humne Jaana Dil Mein Dhun Bhi Samai Hai

Dhab Dekhe to Humne Jaana Dil Mein Dhun Bhi Samai Hai

Dhab dekhe to ham ne jaana dil men dhun bhi sama.i hai

‘mira-ji’ daana to nahin hai ashiq hai sauda.i hai

sub.h-savere kaun si surat phulvari men aa.i hai

Daali Daali jhuum uThi hai kali kali lahra.i hai

jani-pahchani surat ko ab to ankhen tarsengi

na.e shahr men jivan-devi naya ruup bhar laa.i hai

ek khilauna TuuT gaya to aur ka.i mil ja.enge

balak ye anhoni tujh ko kis bairi ne sujha.i hai

dhyan ki dhun hai amar giit pahchan liya to bolega

jis ne raah se bhaTkaya tha vahi raah par laa.i hai

baiThe hain phulvari men dekhen kab kaliyan khilti hain

bhanvar bhaav to nahin hai kis ne itni raah dikha.i hai

jab dil ghabra jaata hai to aap hi aap bahalta hai

prem ki riit ise jaano par honi ki chatura.i hai

ummiden arman sabhi jul de ja.enge jante the

jaan jaan ke dhoke khaa.e jaan ke baat baḌha.i hai

apna rang bhala lagta hai kaliyan chaTkin phuul banin

phuul phuul ye jhuum ke bola kaliyo tum ko badha.i hai

abshar ke rang to dekhe lagan manDal kyuun yaad nahin

kis ka byaah racha hai dekho Dholak hai shahna.i hai

aise Dole man ka bajra jaise nain-bich ho kajra

dil ke andar dhuum machi hai jag men udasi chha.i hai

lahron se lahren milti hain sagar umDa aata hai

manjdhar men basne vaale ne sahil par jot jaga.i hai

aḳhiri baat suna.e koi aḳhiri baat sunin kyuun ham ne

is duniya men sab se pahle aḳhiri baat suna.i hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Mere Kamre Mein Puri Chandni Hai

ahmad-wasi

Khud Ko Chhune Se dara Karte Hain

Ghanimat Hai Kisi Ke Sar Nahin Hun

poet

Meri Jaan Judai Na Hogi To Hogi

poet

Ab Tak to Yahi Pata Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet