Jis Ke Husn Ki Shohrat Mujh Pe Bar Guzri Thi

jis ke husn kī shohrat mujh pe baar guzrī thī

aaj phir vahī laḌkī raah roke Thahrī thī

vahm kī nigāhoñ ne kitne hādse dekhe

ḳhatt-e-pesh-e-manzar par ek kaalī billī thī

saañp sūñgh jaatā thā jo use barattā thā

dekhne meñ vo aurat shahd kī kaTorī thī

ruuh meñ ubhartī thī tere qurb kī ḳhvāhish

maiñ ne apne hoñToñ pe terī pyaas dekhī thī

hiddatoñ kī bārish meñ sūkhtī thiiñ shiryāneñ

chhāñv kī talab mere sehn-e-dil meñ ugtī thī

Leave a Comment