sitam-zarifi ki surat nikal hi aati hai
raqib ki bhi zarurat nikal hi aati hai
qadam rakhen to kahan ab-o-reg-o-ḳhak pe ham
sabhi jagah koi turbat nikal hi aati hai
hisab-e-qurb-o-kashish kar ke kyuun hon sharminda
mire lahu ki to qimat nikal hi aati hai
hai pul-sirat ki hi bu-nisa.i rah-e-jahan
yahan bhi hashr ki halat nikal hi aati hai
baḌe zamane se huun dushmanon ki ankhon men
kisi men chashm-e-muravvat nikal hi aati hai
main mirkaza huun magar mirkaza bhanvar ka huun
kisi bhi mauj se qurbat nikal hi aati hai
ye sha.iri hai paḌosi ke pattharon ke sabab
tarashta huun to jiddat nikal hi aati hai
Leave a Reply