shikayat karen kya shikayat se kya ho
agar jang lazim hai to hausla ho
bashar ka to itna na dil saaf hoga
tum insan ki surat men jaise ḳhuda ho
ye sarkash samundar nikal paoge jab
junun saans lene ka sar par chaḌha ho
mohabbat men ho to bas itna kahunga
maza chaar din ka hai lambi saza ho
koi har musibat se ham ko nikale
asar kar rahi doston ki dua ho
ye parvaz ka ḳhvab achchha hai lekin
zara pahle qadmon pe apne khaḌa ho
siyasat se ham ko tumhen kya milega
ye dhanda hai jis ka usi ka bhala ho
tabassum ki pichhe kahin kuchh chhupa hai
hamen sab pata hai tum ham se ḳhafa ho
abhi jo bhi milta hai taslim kar lo
phir aage safar men na jaane ki kya ho
Leave a Reply